din mein jita hun magar raat mein mar jata hun
din meñ jiitā huuñ magar raat meñ mar jaatā huuñ
ik talātum sā hai yādoñ kā jidhar jaatā huuñ
maiñ ne tujh jaise kisī shaḳhs ko chāhā thā kabhī
ab to is baat ko sochūñ bhī to Dar jaatā huuñ
koī dariyā hai tasavvur ke kisī kone meñ
jis meñ har shaam maiñ chup-chāp utar jaatā huuñ
ab koī pyaar jatā.e to hañsī aatī hai
ek be-zārī ke ehsās se bhar jaatā huuñ
ab to is raah pe vo dost na yādeñ us kī
phir bhī jaatā huuñ to patthar sā Thahar jaatā huuñ
koī ab mujh ko sañbhāle to phisaltā huuñ 'sahāb'
koī ab mujh ko sameTe to bikhar jaatā huuñ
din mein jita hun magar raat mein mar jata hun
ek talatum sa hai yaadon ka jidhar jata hun
main ne tujh jaise kisi shaKHs ko chaha tha kabhi
ab to is baat ko sochun bhi to Dar jata hun
koi dariya hai tasawwur ke kisi kone mein
jis mein har sham main chup-chap utar jata hun
ab koi pyar jatae to hansi aati hai
ek be-zari ke ehsas se bhar jata hun
ab to is rah pe wo dost na yaaden us ki
phir bhi jata hun to patthar sa Thahar jata hun
koi ab mujh ko sanbhaale to phisalta hun 'sahab'
koi ab mujh ko sameTe to bikhar jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.