din mein sote hain raat jagte hain
din meñ sote haiñ raat jāgte haiñ
ham charāġhoñ ke saat jāgte haiñ
us ke bistar se lams chunte hue
niiñd sotī hai haath jāgte haiñ
niiñd meñ haiñ musāfirān-e-kirām
ḳhvāb meñ pul-sirāt jāgte haiñ
dard haiñ lā-zavāl-o-pazhmurda
zaḳhm haiñ be-sabāt jāgte haiñ
dil ko yaksūī chāhiye 'mahbūb'
zehn meñ shash-jihāt jāgte haiñ
din mein sote hain raat jagte hain
hum charaghon ke sat jagte hain
us ke bistar se lams chunte hue
nind soti hai hath jagte hain
nind mein hain musafiran-e-kiram
KHwab mein pul-siraat jagte hain
dard hain la-zawal-o-pazhmurda
zaKHm hain be-sabaat jagte hain
dil ko yaksui chahiye 'mahbub'
zehn mein shash-jihat jagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.