din mile raat mile subh mile sham mile
din mile raat mile sub.h mile shaam mile
ishq sādiq ho to taklīf meñ ārām mile
do kināre kabhī dariyā ke na mil pā.eñge
kaise phir ziist ke āġhāz se anjām mile
zindagī dard-e-mohabbat se sajā rakkhī hai
ghuT ke mar jā.ūñ jo dil ko mire ārām mile
nazm maiḳhāne kā qaa.em hai unhīñ se saaqī
tere ḳhum-ḳhāne meñ jo log tahī-jām mile
sab haiñ betāb tirī ek nazar kī ḳhātir
dekhiye kis ko mohabbat meñ ye in.aam mile
maiñ mohabbat meñ tire naam se aage na baḌhā
mujh ko is raah meñ har chand ka.ī naam mile
dushmanoñ se to kisī jurm kī paa.ī na sanad
dostoñ se mujhe ilzām hī ilzām mile
dard ko is liye siine se lagā rakkhā hai
had se baḌh jaa.e to kuchh jism ko ārām mile
apnī taqdīr pe vo naaz kare kyoñ na 'la.īq'
jis ko duniyā na mile aap kā paiġhām mile
din mile raat mile subh mile sham mile
ishq sadiq ho to taklif mein aaram mile
do kinare kabhi dariya ke na mil paenge
kaise phir zist ke aaghaz se anjam mile
zindagi dard-e-mohabbat se saja rakkhi hai
ghuT ke mar jaun jo dil ko mere aaram mile
nazm maiKHane ka qaem hai unhin se saqi
tere KHum-KHane mein jo log tahi-jam mile
sab hain betab teri ek nazar ki KHatir
dekhiye kis ko mohabbat mein ye inam mile
main mohabbat mein tere nam se aage na baDha
mujh ko is rah mein har chand kai nam mile
dushmanon se to kisi jurm ki pai na sanad
doston se mujhe ilzam hi ilzam mile
dard ko is liye sine se laga rakkha hai
had se baDh jae to kuchh jism ko aaram mile
apni taqdir pe wo naz kare kyon na 'laiq'
jis ko duniya na mile aap ka paigham mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.