din nihayat saKHt the raaten bhi thin bhaari bahut
din nihāyat saḳht the rāteñ bhī thiiñ bhārī bahut
phir bhī maiñ ne kī hai jiine kī adākārī bahut
dasht kī tanhā.iyāñ bhī 'ishq kī sāthī nahīñ
husn kī shāhī ko mil jaate haiñ darbārī bahut
ḳhūb-sūrat kufr par īmān laanā hī paḌā
'umr bhar maiñ bhī rahā huuñ is kā inkārī bahut
un kī galiyoñ ke bhikārī yaad aate haiñ mujhe
tang jab kartī hai mujh ko merī nādārī bahut
ḳhair ke pahlū bhī raushan hoñ du'ā ye kījiye
'aam hotī jā rahī hai dil kī bīmārī bahut
saath ho jaa.eñ agar jazbāt kī sachchā.iyāñ
fan bhī de jaatā hai ġhazloñ ko tarahdārī bahut
shahr meñ ab ke suḳhan-fahmī kā mausam dekhnā
shā'iroñ ne kī hai 'ġhālib' kī taraf-dārī bahut
Dar rahā huuñ lutf manzil kā na kho jaa.e 'ra.īs'
baḌh ga.ī hai in dinoñ raste kī hamvārī bahut
din nihayat saKHt the raaten bhi thin bhaari bahut
phir bhi main ne ki hai jine ki adakari bahut
dasht ki tanhaiyan bhi 'ishq ki sathi nahin
husn ki shahi ko mil jate hain darbari bahut
KHub-surat kufr par iman lana hi paDa
'umr bhar main bhi raha hun is ka inkari bahut
un ki galiyon ke bhikari yaad aate hain mujhe
tang jab karti hai mujh ko meri nadari bahut
KHair ke pahlu bhi raushan hon du'a ye kijiye
'am hoti ja rahi hai dil ki bimari bahut
sath ho jaen agar jazbaat ki sachchaiyan
fan bhi de jata hai ghazlon ko tarahdari bahut
shahr mein ab ke suKHan-fahmi ka mausam dekhna
sha'iron ne ki hai 'ghaalib' ki taraf-dari bahut
Dar raha hun lutf manzil ka na kho jae 'rais'
baDh gai hai in dinon raste ki hamwari bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.