din nikalta hai to saman-e-safar DhunDte hain
din nikaltā hai to sāmān-e-safar DhūñDte haiñ
raat paḌtī hai to ham apnī ḳhabar DhūñDte haiñ
rābta kuchh to rahe ruuh kā pātāl ke saath
aaj ham bhī tirī āñkhoñ meñ bhañvar DhūñDte haiñ
koī ḳhushbū na yahāñ anjum-o-mahtāb kī zau
in gharoñ se bahut aage hai jo ghar DhūñDte haiñ
ishq se dād-talab haiñ ki ham āvāra-manash
dar meñ dīvār na dīvār meñ dar DhūñDte haiñ
kyuuñ judā.ī ke mah-o-sāl meñ badle tū ne
aa mohabbat ke vahī shām-o-sahar DhūñDte haiñ
vo jo ab sarhad-e-imkāñ se pare rahtā hai
kab vo 'ja.afar' hameñ miltā hai magar DhūñDte haiñ
din nikalta hai to saman-e-safar DhunDte hain
raat paDti hai to hum apni KHabar DhunDte hain
rabta kuchh to rahe ruh ka patal ke sath
aaj hum bhi teri aankhon mein bhanwar DhunDte hain
koi KHushbu na yahan anjum-o-mahtab ki zau
in gharon se bahut aage hai jo ghar DhunDte hain
ishq se dad-talab hain ki hum aawara-manash
dar mein diwar na diwar mein dar DhunDte hain
kyun judai ke mah-o-sal mein badle tu ne
aa mohabbat ke wahi sham-o-sahar DhunDte hain
wo jo ab sarhad-e-imkan se pare rahta hai
kab wo 'jafar' hamein milta hai magar DhunDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.