din pe likkha to kabhi raat pe likkha jae
din pe likkhā to kabhī raat pe likkhā jaa.e
kyā zarūrī hai ki har baat pe likkhā jaa.e
dasht kī jumla rivāyāt ko yakjā kar ke
hijr-zādoñ kī muhimmāt pe likkhā jaa.e
koī pūchhe bhī to maiñ baat badal letī huuñ
mujh se kab talḳhī-e-hālāt pe likkhā jaa.e
ye mohabbat kī karāmat hai ki ab naam tirā
kuchh bhī likkhūñ to mire haath se likkhā jaa.e
ik qasīda ho raqam un ko bulāne ke liye
dūsrā vaqt-e-mulāqāt pe likkhā jaa.e
maiñ ne likkhe nahīñ shāhoñ ke hikāyat-nāme
saḳht mushkil thā ḳhurāfāt pe likkhā jaa.e
aap chāheñ to duāoñ ko ikaTThā kar luuñ
aap chāheñ to munājāt pe likkhā jaa.e
ye mohabbat kī vasiyyat hai so ai dast-e-havā
is ko har phuul pe har paat pe likkhā jaa.e
jo masā.ib ke likhārī hoñ 'farah' ab un se
kaise mumkin hai futūhāt pe likkhā jaa.e
din pe likkha to kabhi raat pe likkha jae
kya zaruri hai ki har baat pe likkha jae
dasht ki jumla riwayat ko yakja kar ke
hijr-zadon ki muhimmat pe likkha jae
koi puchhe bhi to main baat badal leti hun
mujh se kab talKHi-e-haalat pe likkha jae
ye mohabbat ki karamat hai ki ab nam tera
kuchh bhi likkhun to mere hath se likkha jae
ek qasida ho raqam un ko bulane ke liye
dusra waqt-e-mulaqat pe likkha jae
main ne likkhe nahin shahon ke hikayat-name
saKHt mushkil tha KHurafat pe likkha jae
aap chahen to duaon ko ikaTTha kar lun
aap chahen to munajat pe likkha jae
ye mohabbat ki wasiyyat hai so ai dast-e-hawa
is ko har phul pe har pat pe likkha jae
jo masaib ke likhaari hon 'farah' ab un se
kaise mumkin hai futuhat pe likkha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.