din raat Dhal rahe hain lamhat Tal rahe hain
din raat Dhal rahe hain lamhat Tal rahe hain
Muhammad Raza Hyderi
MORE BYMuhammad Raza Hyderi
din raat Dhal rahe haiñ lamhāt Tal rahe haiñ
dhīre se zindagī ke safhāt jal rahe haiñ
har-sū tumhārī sūrat har-sū sadā tumhārī
kamra nahīñ ye merā jinnāt pal rahe haiñ
dekho to ye vahī haiñ dushman hamārī jaañ ke
jo dostoñ kī saf meñ hazrāt kal rahe haiñ
na guftugū kisī se na qahqahe na ḳhushiyāñ
ham chal rahe haiñ jaise hālāt chal rahe haiñ
apne lahū se maiñ ne aise diye jalā.e
aise diye jo vaqt-e-barsāt jal rahe haiñ
din raat Dhal rahe hain lamhat Tal rahe hain
dhire se zindagi ke safhat jal rahe hain
har-su tumhaari surat har-su sada tumhaari
kamra nahin ye mera jinnat pal rahe hain
dekho to ye wahi hain dushman hamari jaan ke
jo doston ki saf mein hazraat kal rahe hain
na guftugu kisi se na qahqahe na KHushiyan
hum chal rahe hain jaise haalat chal rahe hain
apne lahu se main ne aise diye jalae
aise diye jo waqt-e-barsat jal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.