Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din-raat neta rahte hain apni jugaD mein

Hameed Dilkash Khandwi

din-raat neta rahte hain apni jugaD mein

Hameed Dilkash Khandwi

MORE BYHameed Dilkash Khandwi

    din-rāt netā rahte haiñ apnī jugāḌ meñ

    un balā se desh chalā jaa.e bhaaḌ meñ

    shurafā haiñ bā-asar haiñ magar fāqa-mast haiñ

    kunDī talak hilegī na un ke kivāḌ meñ

    maiñ chāhtā huuñ log hoñ logoñ ke pardā-posh

    aur log saare rahte haiñ akhkhal pachhāḌ meñ

    hālāt se nipaTne ham ko shu.ūr hai

    ham kab kahāñ kisī se haiñ kam mār-dhāḌ meñ

    ham ne bhī ḳhud ye soch ke dāḌhī rakhā.ī hai

    ham bhī shikār kheleñge dāḌhī aaḌ meñ

    vo bhī lañgoTī chhoḌ siyāsat meñ aa ga.e

    sādhū bichāre rahte kahāñ tak pahāḌ meñ

    ai shaiḳh-e-mohtaram tumheñ jin talāsh hai

    vo bevaqūf tum ko mileñge tihāḌ meñ

    'dilkash' ye ta.ane suntā huuñ begam se raat din

    bachchoñ ko mere tum ne bigāḌā hai laaD meñ

    din-raat neta rahte hain apni jugaD mein

    un ki bala se desh chala jae bhaD mein

    shurafa hain ba-asar hain magar faqa-mast hain

    kunDi talak hilegi na un ke kiwaD mein

    main chahta hun log hon logon ke parda-posh

    aur log sare rahte hain akhkhal pachhaD mein

    haalat se nipaTne ka hum ko shuur hai

    hum kab kahan kisi se hain kam mar-dhaD mein

    hum ne bhi KHud ye soch ke daDhi rakhai hai

    hum bhi shikar khelenge daDhi ki aaD mein

    wo bhi langoTi chhoD siyasat mein aa gae

    sadhu bichaare rahte kahan tak pahaD mein

    ai shaiKH-e-mohtaram tumhein jin ki talash hai

    wo bewaquf tum ko milenge tihaD mein

    'dilkash' ye tane sunta hun begam se raat din

    bachchon ko mere tum ne bigaDa hai laD mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now