din-raat rah-e-ishq mein be-sud aah kar
din-rāt rāh-e-ishq meñ be-sūd aah kar
hai husn kā taqāzā ki ḳhud ko tabāh kar
duniyā ko apne dard key kuchh bhī nahīñ qadar
ab is dayār-e-ranj se sāmān-e-rāh kar
qābil hoñ daad ke ye zarūrī bhī to nahīñ
ho un se ḳhush zamāna to tū vaah vaah kar
yaksar jo dil lagāyā to dil key qadar ga.ī
ye gaah paas rakh le nazar un key gaah kar
thak sā gayā sat.h se ye dil be-qarār sā
ab ye safīna-hā-e-bahar nazr-e-thāh kar
mahbūb key nazar kā ye adnā kamāl hai
jis ko gadā ye kar de jise chāhe shaah kar
din-raat rah-e-ishq mein be-sud aah kar
hai husn ka taqaza ki KHud ko tabah kar
duniya ko apne dard key kuchh bhi nahin qadar
ab is dayar-e-ranj se saman-e-rah kar
qabil hon dad ke ye zaruri bhi to nahin
ho un se KHush zamana to tu wah wah kar
yaksar jo dil lagaya to dil key qadar gai
ye gah pas rakh le nazar un key gah kar
thak sa gaya sath se ye dil be-qarar sa
ab ye safina-ha-e-bahar nazr-e-thah kar
mahbub key nazar ka ye adna kamal hai
jis ko gada ye kar de jise chahe shah kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.