din raat tumhaari yaadon se hum zaKHm sanwara karte hain
din raat tumhaari yaadon se hum zaKHm sanwara karte hain
Hidayatullah Khan Shamsi
MORE BYHidayatullah Khan Shamsi
din raat tumhārī yādoñ se ham zaḳhm sañvārā karte haiñ
pardes meñ jaise-taise hī ai dost guzārā karte haiñ
ḳhuddār tabī.at hai apnī fāqoñ pe basar kar lete haiñ
ehsān kisī kā duniyā meñ hargiz na gavārā karte haiñ
ab laakh ḳhizāoñ kā mausam bhī kuchh na guloñ kā kar paa.e
ham ḳhūn-e-jigar se gulshan kā har rañg nikhārā karte haiñ
atrāf hamāre logoñ kī ik bhiiḌ thī jab tak paisa thā
ye jeb huī ab ḳhālī to sab log kināra karte haiñ
jab un ke muqābil hote haiñ vo baat nahīñ karte ham se
aur duur nazar se hote hī bas zikr hamārā karte haiñ
kyuuñ zaḳhm dikhā.eñ ham 'shamsī' ab kaun lagā.egā marham
sab log to dil meñ hans hans kar ḳhanjar hī utārā karte haiñ
din raat tumhaari yaadon se hum zaKHm sanwara karte hain
pardes mein jaise-taise hi ai dost guzara karte hain
KHuddar tabiat hai apni faqon pe basar kar lete hain
ehsan kisi ka duniya mein hargiz na gawara karte hain
ab lakh KHizaon ka mausam bhi kuchh na gulon ka kar pae
hum KHun-e-jigar se gulshan ka har rang nikhaara karte hain
atraf hamare logon ki ek bhiD thi jab tak paisa tha
ye jeb hui ab KHali to sab log kinara karte hain
jab un ke muqabil hote hain wo baat nahin karte hum se
aur dur nazar se hote hi bas zikr hamara karte hain
kyun zaKHm dikhaen hum 'shamsi' ab kaun lagaega marham
sab log to dil mein hans hans kar KHanjar hi utara karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.