din sulagta hai raat jalti hai
din sulagtā hai raat jaltī hai
is tarah kā.enāt jaltī hai
merī āñkhoñ ko dekh kar raushan
nigah-e-iltifāt jaltī hai
kārvāñ to guzar gayā kab kā
ab rah-e-hādsāt jaltī hai
har-nafas meñ haiñ aag ke sho.ale
lafz jalte haiñ baat jaltī hai
jab bhī jalte haiñ dhuup meñ ashjār
chhāñv bhī saath saath jaltī hai
niiñd aa.e to ḳhvāb jalte haiñ
jāgtā huuñ to raat jaltī hai
maiñ to huuñ sail-e-tishnagī 'sāġhar'
mujh se nahr-e-furāt jaltī hai
din sulagta hai raat jalti hai
is tarah kaenat jalti hai
meri aankhon ko dekh kar raushan
nigah-e-iltifat jalti hai
karwan to guzar gaya kab ka
ab rah-e-hadsat jalti hai
har-nafas mein hain aag ke shoale
lafz jalte hain baat jalti hai
jab bhi jalte hain dhup mein ashjar
chhanw bhi sath sath jalti hai
nind aae to KHwab jalte hain
jagta hun to raat jalti hai
main to hun sail-e-tishnagi 'saghar'
mujh se nahr-e-furaat jalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.