din teri yaad mein Dhal jata hai aansu ki tarah
din tirī yaad meñ Dhal jaatā hai aañsū kī tarah
raat taḌpātī hai ik nashtar-e-pahlū kī tarah
jaane kis soch meñ Duubā huā tanhā tanhā
dil kā aalam hai kisī sarv-e-lab-e-jū kī tarah
haa.e vahshat koī manzil ho Thahartā hī nahīñ
vaqt hai daam se chhūTe hue aahū kī tarah
rah ga.ī ghuT ke mire dil meñ tamannā terī
ek parvāz-e-shikasta par-o-bāzū kī tarah
majlis-e-shaiḳh meñ kal zikr thā jis kā ai dost
hogī jannat bhī koī shai tire pahlū kī tarah
'zeb' ab zad meñ jo aa jaa.e vo dil ho ki nigāh
us kī raftār hai chalte hue jaadū kī tarah
din teri yaad mein Dhal jata hai aansu ki tarah
raat taDpati hai ek nashtar-e-pahlu ki tarah
jaane kis soch mein Duba hua tanha tanha
dil ka aalam hai kisi sarw-e-lab-e-ju ki tarah
hae wahshat koi manzil ho Thaharta hi nahin
waqt hai dam se chhuTe hue aahu ki tarah
rah gai ghuT ke mere dil mein tamanna teri
ek parwaz-e-shikasta par-o-bazu ki tarah
majlis-e-shaiKH mein kal zikr tha jis ka ai dost
hogi jannat bhi koi shai tere pahlu ki tarah
'zeb' ab zad mein jo aa jae wo dil ho ki nigah
us ki raftar hai chalte hue jadu ki tarah
- Book : zartaab (Pg. 226)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.