dinon ki hafte mein tadad sat Thahri hai
dinoñ kī hafte meñ ta.adād saat Thahrī hai
isī madār meñ kul kā.enāt Thahrī hai
thirak rahe haiñ mire lab muḳhātabat meñ tabhī
zabāñ kī nok pe kuchh aisī baat Thahrī hai
ghaTā machaltī hai bādal kī us ke āñchal par
darāz gesuoñ meñ us ke raat Thahrī hai
bahār naam huā terā pairāhan khulnā
tire badan kī ḳhizāñ-rut zakāt Thahrī hai
tumhāre gaal se surḳhī churā.ī vaqt-e-sahar
nazar kaTār kī jaise nashāt Thahrī hai
ye aaTā gūñdhte hāthoñ ke lams kī saugand
tirī kalā.ī ke sadqe parāt Thahrī hai
tire huzūr mire saañs sahl haiñ mujh par
badan meñ diid se terī hayāt Thahrī hai
ye rakh-rakhāv tirā nāzukī bharā lahja
tire bayān pe saarī siqāt Thahrī hai
kisī kī baat pe Thahrāv kab huā apnā
tumhārī baat pe aa.e to baat Thahrī hai
tarah tarah kī shabāhat bayāñ huī 'alvī'
ye raat din na huī phir bhī raat Thahrī hai
dinon ki hafte mein tadad sat Thahri hai
isi madar mein kul kaenat Thahri hai
thirak rahe hain mere lab muKHatabat mein tabhi
zaban ki nok pe kuchh aisi baat Thahri hai
ghaTa machalti hai baadal ki us ke aanchal par
daraaz gesuon mein us ke raat Thahri hai
bahaar nam hua tera pairahan khulna
tere badan ki KHizan-rut zakat Thahri hai
tumhaare gal se surKHi churai waqt-e-sahar
nazar kaTar ki jaise nashat Thahri hai
ye aaTa gundhte hathon ke lams ki saugand
teri kalai ke sadqe paraat Thahri hai
tere huzur mere sans sahl hain mujh par
badan mein did se teri hayat Thahri hai
ye rakh-rakhaw tera nazuki bhara lahja
tere bayan pe sari siqat Thahri hai
kisi ki baat pe Thahraw kab hua apna
tumhaari baat pe aae to baat Thahri hai
tarah tarah ki shabahat bayan hui 'alwi'
ye raat din na hui phir bhi raat Thahri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.