diya hai dard jo tu ne to phir dawa bhi to de
diyā hai dard jo tū ne to phir davā bhī to de
ab is ḳharābe meñ jiine kā hausla bhī to de
tire aqab meñ chale saarā qāfila lekin
tū rahnumā hai to manzil kā kuchh patā bhī to de
bajā ki pakḌe to jaate haiñ roz hī mujrim
gunāhgāroñ ko qānūn kuchh sazā bhī to de
baġhair suud ke dete nahīñ haiñ bhiik bhī log
ye chāhte haiñ ki saa.il koī duā bhī to de
vo jāntā hai ki bār-e-garāñ hai ranj-e-firāq
tū aa ke siine se patthar mire haTā bhī to de
dikhā.ī detā hai jis meñ zamīr kā chehra
'sahar' ke chāragaroñ ko vo aa.ina bhī to de
diya hai dard jo tu ne to phir dawa bhi to de
ab is KHarabe mein jine ka hausla bhi to de
tere aqab mein chale sara qafila lekin
tu rahnuma hai to manzil ka kuchh pata bhi to de
baja ki pakDe to jate hain roz hi mujrim
gunahgaron ko qanun kuchh saza bhi to de
baghair sud ke dete nahin hain bhik bhi log
ye chahte hain ki sail koi dua bhi to de
wo jaanta hai ki bar-e-garan hai ranj-e-firaq
tu aa ke sine se patthar mere haTa bhi to de
dikhai deta hai jis mein zamir ka chehra
'sahar' ke chaaragaron ko wo aaina bhi to de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.