diya-salai bina tel jalne wali nahin
diyā-salā.ī binā tel jalne vaalī nahīñ
baġhair ishq ke ye umr kaTne vaalī nahīñ
kisī kī yaad hai jo jaan par banī huī hai
ye vo ghaTā hai jo bārish se Talne vaalī nahīñ
kuchh is tarah se judā ho ga.e haiñ ham donoñ
maiñ hañsne vaalā nahīñ aur vo rone vaalī nahīñ
mahāz-e-ishq se har shaḳhs kāmyāb aa.e
duā kareñge magar baat hone vaalī nahīñ
maiñ ghar palaTne meñ ujlat to kar rahā huuñ magar
ye shaam shām-e-judā.ī hai Dhalne vaalī nahīñ
diya-salai bina tel jalne wali nahin
baghair ishq ke ye umr kaTne wali nahin
kisi ki yaad hai jo jaan par bani hui hai
ye wo ghaTa hai jo barish se Talne wali nahin
kuchh is tarah se juda ho gae hain hum donon
main hansne wala nahin aur wo rone wali nahin
mahaz-e-ishq se har shaKHs kaamyab aae
dua karenge magar baat hone wali nahin
main ghar palaTne mein ujlat to kar raha hun magar
ye sham sham-e-judai hai Dhalne wali nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.