diya tha ishq to itna siwa diya hota
diyā thā 'ishq to itnā sivā diyā hotā
ki apnā honā bhī ham ne bhulā diyā hotā
ġhurūr fitnoñ kā tum ne dabā diyā hotā
agar ba-nāz-e-digar muskurā diyā hotā
kamāl-e-sajda thā jab sar jhukā diyā hotā
nifāq-e-dair-o-haram ko miTā diyā hotā
salīqa jiine kā samjhā-bujhā diyā hotā
jinheñ rulāyā thā un ko hañsā diyā hotā
zarūr mujh ko shikāyat hai dene vaale se
jo ġham diyā thā to ġham meñ mazā diyā hotā
Thikānā miltā na 'rāfat' ko donoñ 'ālam meñ
kahīñ nazar se jo tum ne girā diyā hotā
diya tha 'ishq to itna siwa diya hota
ki apna hona bhi hum ne bhula diya hota
ghurur fitnon ka tum ne daba diya hota
agar ba-naz-e-digar muskura diya hota
kamal-e-sajda tha jab sar jhuka diya hota
nifaq-e-dair-o-haram ko miTa diya hota
saliqa jine ka samjha-bujha diya hota
jinhen rulaya tha un ko hansa diya hota
zarur mujh ko shikayat hai dene wale se
jo gham diya tha to gham mein maza diya hota
Thikana milta na 'rafat' ko donon 'alam mein
kahin nazar se jo tum ne gira diya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.