diye bhi hon to pujari suraj ke sans kya lenge tirgi mein
diye bhi hon to pujari suraj ke sans kya lenge tirgi mein
Jameel Mazhari
MORE BYJameel Mazhari
diye bhī hoñ to pujārī sūraj ke saañs kyā leñge tīrgī meñ
kaho patangoñ se raqs kar leñ charāġh kī dhīmī raushnī meñ
muaaf ai nāz-e-rahnumā.ī pahuñch ke manzil pe bhī na paa.ī
vo lazzat-e-ḳhvāb jo mayassar huī sar-e-rāh-e-ḳhastagī meñ
vafā ko thoḌī sī be-niyāzī kam-iltifātī ne terī de dī
ab aur kyā chāhiye ḳhudī ko tirī mohabbat kī be-ḳhudī meñ
chhupī na jab ḳhāk-e-āstāñ se chhupegī kyā chashm-e-nukta-dāñ se
vo ik shikan jo zarā sī ubhrī jabīn-e-majbūr-e-bandagī se
idhar añdhere kī la.anteñ haiñ udhar ujāle kī zahmateñ haiñ
tire musāfir lagā.eñ bistar kahāñ pe sahrā-e-zindagī meñ
'jamīl' ham uTh ke gir paḌe aur guzar gayā kārvāñ hamārā
ġhubār kī baat tak na pūchhī musāfiroñ ne ravā-ravī meñ
diye bhi hon to pujari suraj ke sans kya lenge tirgi mein
kaho patangon se raqs kar len charagh ki dhimi raushni mein
muaf ai naz-e-rahnumai pahunch ke manzil pe bhi na pai
wo lazzat-e-KHwab jo mayassar hui sar-e-rah-e-KHastagi mein
wafa ko thoDi si be-niyazi kam-iltifati ne teri de di
ab aur kya chahiye KHudi ko teri mohabbat ki be-KHudi mein
chhupi na jab KHak-e-astan se chhupegi kya chashm-e-nukta-dan se
wo ek shikan jo zara si ubhri jabin-e-majbur-e-bandagi se
idhar andhere ki lanten hain udhar ujale ki zahmaten hain
tere musafir lagaen bistar kahan pe sahra-e-zindagi mein
'jamil' hum uTh ke gir paDe aur guzar gaya karwan hamara
ghubar ki baat tak na puchhi musafiron ne rawa-rawi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.