diye hain zaKHm zamane ne be-shumar mujhe
diye haiñ zaḳhm zamāne ne be-shumār mujhe
zahe-nasīb milā dil bhī dāġh-dār mujhe
sukūn de na sake dasht-o-kohsār mujhe
milā na rū-e-zamīñ par kabhī qarār mujhe
na aa sakā tire va.ada pe e.atibār mujhe
hai sirf ab to qayāmat kā intizār mujhe
guloñ ke pyaar ne uljhā diyā hai kāñToñ meñ
chaman meñ denī paḌī qīmat-e-bahār mujhe
kahāñ se aaya kahāñ jā.ūñgā ḳhudā jaane
ḳhud apnī yaad satātī hai baar baar mujhe
kuredte rahe har ek zaḳhm-e-dil merā
tasallī dene ko aa.e the ġham-gusār mujhe
ye zindagī bhī mire bas meñ ab nahīñ 'sālik'
nahīñ hai jaan bhī dene kā iḳhtiyār mujhe
diye hain zaKHm zamane ne be-shumar mujhe
zahe-nasib mila dil bhi dagh-dar mujhe
sukun de na sake dasht-o-kohsar mujhe
mila na ru-e-zamin par kabhi qarar mujhe
na aa saka tere wada pe eatibar mujhe
hai sirf ab to qayamat ka intizar mujhe
gulon ke pyar ne uljha diya hai kanTon mein
chaman mein deni paDi qimat-e-bahaar mujhe
kahan se aaya kahan jaunga KHuda jaane
KHud apni yaad satati hai bar bar mujhe
kuredte rahe har ek zaKHm-e-dil mera
tasalli dene ko aae the gham-gusar mujhe
ye zindagi bhi mere bas mein ab nahin 'salik'
nahin hai jaan bhi dene ka iKHtiyar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.