diye jala ke hawaon ke munh pe mar aaya
diye jalā ke havāoñ ke muñh pe maar aayā
koī to hai jo añdheroñ kā qarz utaar aayā
ḳhudā se jab bhī kaḌī dhuup kī shikāyat kī
to merī raah meñ ek peḌ sāya-dār aayā
kahāñ huī kabhī us se hamārī dīd-o-shunīd
havā ke rath pe hamesha hī vo savār aayā
sukūn bāñTtī phirtī huuñ maiñ zamāne meñ
na jaane kyuuñ mire hisse meñ intishār aayā
hazār baar mirā dard muskurā.egā
hazār baar agar mausam-e-bahār aayā
sabab maiñ DhūñD rahī thī mirī udāsī kā
tirā ḳhayāl mujhe aaj baar baar aayā
kiyā hai us ne hī ġhārat mirā sukūn magar
usī ke naam pe 'raḳhshāñ' mujhe qarār aayā
diye jala ke hawaon ke munh pe mar aaya
koi to hai jo andheron ka qarz utar aaya
KHuda se jab bhi kaDi dhup ki shikayat ki
to meri rah mein ek peD saya-dar aaya
kahan hui kabhi us se hamari did-o-shunid
hawa ke rath pe hamesha hi wo sawar aaya
sukun banTti phirti hun main zamane mein
na jaane kyun mere hisse mein intishaar aaya
hazar bar mera dard muskuraega
hazar bar agar mausam-e-bahaar aaya
sabab main DhunD rahi thi meri udasi ka
tera KHayal mujhe aaj bar bar aaya
kiya hai us ne hi ghaarat mera sukun magar
usi ke nam pe 'raKHshan' mujhe qarar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.