diye ki lau meri jaanib lapak rahi hai ab
diye kī lau mirī jānib lapak rahī hai ab
ye baat saare jahāñ ko khaTak rahī hai ab
ye jaan kar ki mire sar se āsmān gayā
zamīn paañv tale se sarak rahī hai ab
jo baat barsoñ talak aa.ine se kartī rahī
vo tujh se kahte gale meñ aTak rahī hai ab
tumhāre va.ade ke sone kā khoT hai dekho
ye mere sar meñ jo chāñdī chamak rahī hai ab
kisī tarah mujhe ḳhud ko sambhālnā hogā
udāsī aañkh se bāhar chhalak rahī hai ab
hamārī aañkh lagī hai ghaḌī kī suuī par
hamārī nabz musalsal phaḌak rahī hai ab
diye ki lau meri jaanib lapak rahi hai ab
ye baat sare jahan ko khaTak rahi hai ab
ye jaan kar ki mere sar se aasman gaya
zamin panw tale se sarak rahi hai ab
jo baat barson talak aaine se karti rahi
wo tujh se kahte gale mein aTak rahi hai ab
tumhaare wade ke sone ka khoT hai dekho
ye mere sar mein jo chandi chamak rahi hai ab
kisi tarah mujhe KHud ko sambhaalna hoga
udasi aankh se bahar chhalak rahi hai ab
hamari aankh lagi hai ghaDi ki sui par
hamari nabz musalsal phaDak rahi hai ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.