diye palkon ke sare bujh rahe hain
diye palkoñ ke saare bujh rahe haiñ
sar-e-shab hī sitāre bujh rahe haiñ
in āñkhoñ ne jinheñ raushan kiyā thā
vo sab manzar hamāre bujh rahe haiñ
bahut kam ho chalī hai ātish-e-ḳhāk
zamīñ tere sharāre bujh rahe haiñ
siyāhat haath mal kar rah ga.ī hai
sar-e-sāhil shikāre bujh rahe haiñ
pa.e shab sair aayā bhī kahāñ maiñ
jahāñ saare nazāre bujh rahe haiñ
na halchal hai na koī mauj-e-bosa
samundar ke kināre bujh rahe haiñ
maiñ yaḳh-basta huā jaatā huuñ 'afsar'
mire jazbāt saare bujh rahe haiñ
diye palkon ke sare bujh rahe hain
sar-e-shab hi sitare bujh rahe hain
in aankhon ne jinhen raushan kiya tha
wo sab manzar hamare bujh rahe hain
bahut kam ho chali hai aatish-e-KHak
zamin tere sharare bujh rahe hain
siyahat hath mal kar rah gai hai
sar-e-sahil shikare bujh rahe hain
pae shab sair aaya bhi kahan main
jahan sare nazare bujh rahe hain
na halchal hai na koi mauj-e-bosa
samundar ke kinare bujh rahe hain
main yaKH-basta hua jata hun 'afsar'
mere jazbaat sare bujh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.