diye se lau nahin pindar le kar ja rahi hai
diye se lau nahīñ pindār le kar jā rahī hai
havā ab sub.h ke āsār le kar jā rahī hai
hamesha noch letī thī ḳhizāñ shāḳhoñ se patte
magar is baar to ashjār le kar jā rahī hai
maiñ ghar se jā rahā huuñ aur likhtā jā rahā huuñ
jahāñ tak ḳhvāhish-e-dīdār le kar jā rahī hai
ḳhalā meñ ġhaib kī āvāz ne chhoḌā hai mujh ko
maiñ samjhā thā mujhe us paar le kar jā rahī hai
mujhe us niiñd ke māthe kā bosa ho ināyat
jo mujh se ḳhvāb kā āzār le kar jā rahī hai
yahāñ par raat ko achchhā nahīñ kahtā hai koī
so apne kaasa o dīnār le kar jā rahī hai
tamāshe ke sabhī kirdār maare jā chuke haiñ
kahānī sirf ik talvār le kar jā rahī hai
diye se lau nahin pindar le kar ja rahi hai
hawa ab subh ke aasar le kar ja rahi hai
hamesha noch leti thi KHizan shaKHon se patte
magar is bar to ashjar le kar ja rahi hai
main ghar se ja raha hun aur likhta ja raha hun
jahan tak KHwahish-e-didar le kar ja rahi hai
KHala mein ghaib ki aawaz ne chhoDa hai mujh ko
main samjha tha mujhe us par le kar ja rahi hai
mujhe us nind ke mathe ka bosa ho inayat
jo mujh se KHwab ka aazar le kar ja rahi hai
yahan par raat ko achchha nahin kahta hai koi
so apne kasa o dinar le kar ja rahi hai
tamashe ke sabhi kirdar mare ja chuke hain
kahani sirf ek talwar le kar ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.