diye the zaKHm mujhe jo mere muqaddar ne
diye the zaḳhm mujhe jo mire muqaddar ne
shifā dī un ko kisī kī nazar ke nashtar ne
ga.e jo sair ko kal sāhil-e-samundar par
to pair chuum ke kī peshvā.ī sāgar ne
thā iḳhtiyār nahīñ dil pe varna kyoñ detā
ye kyā huā ki liyā bhī to ik sitamgar ne
ḳhirām-e-nāz-e-dil-ārā pe jab nazar Thahrī
dabā lī dāñtoñ meñ uñglī vahīñ sanobar ne
kiyā kisī ko to gumrāh dīn-e-haq se aur
kisī ko chhoḌ diyā raah meñ hī rahbar ne
gila thā aap ko ham baat kyoñ nahīñ karte
suneñ jo kah na sake kah diyā vo jhāñjhar ne
hai asp-e-tez-qadam par savār 'umr-e-ins
subuk-ḳhirāmī pe shikva kiyā hai sarsar ne
diye the zaKHm mujhe jo mere muqaddar ne
shifa di un ko kisi ki nazar ke nashtar ne
gae jo sair ko kal sahil-e-samundar par
to pair chum ke ki peshwai sagar ne
tha iKHtiyar nahin dil pe warna kyon deta
ye kya hua ki liya bhi to ek sitamgar ne
KHiram-e-naz-e-dil-ara pe jab nazar Thahri
daba li danton mein ungli wahin sanobar ne
kiya kisi ko to gumrah din-e-haq se aur
kisi ko chhoD diya rah mein hi rahbar ne
gila tha aap ko hum baat kyon nahin karte
sunen jo kah na sake kah diya wo jhanjhar ne
hai asp-e-tez-qadam par sawar 'umr-e-ins
subuk-KHirami pe shikwa kiya hai sarsar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.