do aabnusi phul hain patthar pe kai hai
do ābnūsī phuul haiñ patthar pe kaa.ī hai
sahrā ke sabz baaġh meñ shab aa samā.ī hai
maujoñ pe dil kī shakl banāne ke vāste
āvāz kitnī duur se vāpas bulā.ī hai
siine kā josh pī liyā ḳhvāboñ ke hirs ne
be-nūriyoñ kī aag ne ye aañch khaa.ī hai
saa.e ke peḌ rizq hue gard-bād kā
ujḌe hue gharoñ kā muqaddar havā.ī hai
palkoñ ne haft-ḳhvāñ kiye vo sar ke charḳh par
kaalī shaboñ meñ saat kamānī ban aa.ī hai
do aabnusi phul hain patthar pe kai hai
sahra ke sabz bagh mein shab aa samai hai
maujon pe dil ki shakl banane ke waste
aawaz kitni dur se wapas bulai hai
sine ka josh pi liya KHwabon ke hirs ne
be-nuriyon ki aag ne ye aanch khai hai
sae ke peD rizq hue gard-baad ka
ujDe hue gharon ka muqaddar hawai hai
palkon ne haft-KHwan kiye wo sar ke charKH par
kali shabon mein sat kamani ban aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.