do aankhon ko chaar kiya ja sakta hai
do āñkhoñ ko chaar kiyā jā saktā hai
sapnoñ ko sākār kiyā jā saktā hai
duniyā kā dīdār kiyā jā saktā hai
āñkhoñ ko sansār kiyā jā saktā
habs-e-anā meñ in ko zaa.e.a mat kar jaañ
in lamhoñ meñ pyaar kiyā jā saktā hai
tujh se jitnā ishq kiyā hai utne meñ
duniyā kā uddhār kiyā jā saktā hai
ham marzī se Duube haiñ varna tujh ko
āsānī se paar kiyā jā saktā hai
ḳhushiyoñ kī maanā kuchh qillat hai lekin
ġham kā to ambār kiyā jā saktā hai
paar bhī ho saktā hai nafrat kā dariyā
ulfat ko patvār kiyā jā saktā hai
ishq ye sunte haiñ hotā hai bahut mushkil
haañ lekin sarkār kiyā jā saktā hai
mar jaanā hī ek tarīqa thoḌī hai
jiinā bhī dushvār kiyā jā saktā hai
yādeñ hī aġhyār raheñgī saat janm
ḳhalvat ko to yaar kiyā jā saktā hai
bachche ab ye jaan ga.e haiñ zid karke
būḌhoñ ko lāchār kiyā jā saktā hai
do aankhon ko chaar kiya ja sakta hai
sapnon ko sakar kiya ja sakta hai
duniya ka didar kiya ja sakta hai
aankhon ko sansar kiya ja sakta
habs-e-ana mein in ko zaea mat kar jaan
in lamhon mein pyar kiya ja sakta hai
tujh se jitna ishq kiya hai utne mein
duniya ka uddhaar kiya ja sakta hai
hum marzi se Dube hain warna tujh ko
aasani se par kiya ja sakta hai
KHushiyon ki mana kuchh qillat hai lekin
gham ka to ambar kiya ja sakta hai
par bhi ho sakta hai nafrat ka dariya
ulfat ko patwar kiya ja sakta hai
ishq ye sunte hain hota hai bahut mushkil
han lekin sarkar kiya ja sakta hai
mar jaana hi ek tariqa thoDi hai
jina bhi dushwar kiya ja sakta hai
yaaden hi aghyar rahengi sat janm
KHalwat ko to yar kiya ja sakta hai
bachche ab ye jaan gae hain zid karke
buDhon ko lachaar kiya ja sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.