do bhi bose mujhe ek mah mein ai mah na do
do bhi bose mujhe ek mah mein ai mah na do
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
do bhī bose mujhe ik maah meñ ai maah na do
vaz.a ye kyā hai ki naukar rakho tanḳhvāh na do
ḳhush-adā aur to kyā tum se tavaqqo.a afsos
ek gaalī bhī mujhe aan ke tum aah na do
be-maza ho ke jo bose bhī diye kyā hai mazā
vo to ik raah mohabbat se ba-ikrāh na do
yaad chashm-e-but-e-maġhrūr dilā.e hai mujhe
dosto tum gul-e-nargis mujhe lillāh na do
ek ḳhajlat sī hai ḳhajlat mujhe ushshāq meñ aah
ki sar-anjām hue nāla-e-dil ḳhvāh na do
ek bhī bosa na do kahte ho phir naaz se tum
ham to ik bosa tujhe deveñge ai vaah na do
dar kiyā band to dīvār se aayā 'ehsāñ'
aise be-rāh ko ghar apne meñ tum raah na do
do bhi bose mujhe ek mah mein ai mah na do
waza ye kya hai ki naukar rakho tanKHwah na do
KHush-ada aur to kya tum se tawaqqoa afsos
ek gali bhi mujhe aan ke tum aah na do
be-maza ho ke jo bose bhi diye kya hai maza
wo to ek rah mohabbat se ba-ikrah na do
yaad chashm-e-but-e-maghrur dilae hai mujhe
dosto tum gul-e-nargis mujhe lillah na do
ek KHajlat si hai KHajlat mujhe ushshaq mein aah
ki sar-anjam hue nala-e-dil KHwah na do
ek bhi bosa na do kahte ho phir naz se tum
hum to ek bosa tujhe dewenge ai wah na do
dar kiya band to diwar se aaya 'ehsan'
aise be-rah ko ghar apne mein tum rah na do
- Book : کلیات احسان (Pg. 176)
- Author : حافظ عبدالرحمان خان احسان
- Publication : ڈاکٹر رفیعہ سلطان (1968)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.