do bund ko shabnam ki gulzar taraste hain
do buuñd ko shabnam kī gulzār taraste haiñ
bādal tirī rahmat ke jangal pe baraste haiñ
do lafz mohabbat ke do lafz tasallī ke
ahbāb-o-a.izzā sab sunñe ko taraste haiñ
har moḌ pe baiThe haiñ ifrīt dahan khole
ye kaun sī manzil hai ye kaun se raste haiñ
jin logoñ se raunaq thī us shahr-e-nigārāñ kī
vo shahr-e-ḳhamoshāñ kī ḳhāmoshī meñ baste haiñ
sho.ale kabhī holī ke uThte haiñ rag-e-jāñ se
bādal kabhī sāvan ke āñkhoñ se baraste haiñ
'rif.at' ye ḳhamoshī bhī hālāt kī sūrat hai
be-vaj.h ġharīboñ par kyoñ aap garajte haiñ
do bund ko shabnam ki gulzar taraste hain
baadal teri rahmat ke jangal pe baraste hain
do lafz mohabbat ke do lafz tasalli ke
ahbab-o-aizza sab sunne ko taraste hain
har moD pe baiThe hain ifrit dahan khole
ye kaun si manzil hai ye kaun se raste hain
jin logon se raunaq thi us shahr-e-nigaran ki
wo shahr-e-KHamoshan ki KHamoshi mein baste hain
shoale kabhi holi ke uThte hain rag-e-jaan se
baadal kabhi sawan ke aankhon se baraste hain
'rifat' ye KHamoshi bhi haalat ki surat hai
be-wajh gharibon par kyon aap garajte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.