do-chaar kya hain sare zamane ke bawajud
do-chār kyā haiñ saare zamāne ke bāvajūd
ham miT nahīñ sakeñge miTāne ke bāvajūd
ye raaz kaash bād-e-muḳhālif tū jaan le
kyuuñ jal rahe haiñ tere bujhāne ke bāvajūd
ab bhī bahut ġhurūr hai ik haath par use
ik haath hādse meñ gañvāne ke bāvajūd
buzdil thā mustahiq thā maiñ mujh ko sazā milī
baḳhshā na us ne haath uThāne ke bāvajūd
ḳhvāboñ ke shauq meñ kahīñ āñkheñ gañvā na deñ
ham so rahe haiñ niiñd na aane ke bāvajūd
do-chaar kya hain sare zamane ke bawajud
hum miT nahin sakenge miTane ke bawajud
ye raaz kash baad-e-muKHalif tu jaan le
kyun jal rahe hain tere bujhane ke bawajud
ab bhi bahut ghurur hai ek hath par use
ek hath hadse mein ganwane ke bawajud
buzdil tha mustahiq tha main mujh ko saza mili
baKHsha na us ne hath uThane ke bawajud
KHwabon ke shauq mein kahin aankhen ganwa na den
hum so rahe hain nind na aane ke bawajud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.