do dil wo sang sang dhaDakte hain aaj bhi
do dil vo sang sang dhaḌakte haiñ aaj bhī
khiḌkī se chorī chorī vo takte haiñ aaj bhī
kahtā hai kaun 'ishq ke lahje badal ga.e
kangan kalā.iyoñ meñ khanakte haiñ aaj bhī
kartā hai koī sāzisheñ varna yūñhī nahīñ
āñchal ghaḌī meñ ik do aTakte haiñ aaj bhī
itnī hai paak 'ishq kī ye dāstāñ suno
aane meñ vo qarīb jhijakte haiñ aaj bhī
ḳhvāboñ se ab talak tirī sūrat nahīñ ga.ī
uTh uTh ke rāt-bhar ko sisakte haiñ aaj bhī
nīchī nigāh uThtī hai aate hī 'nūr' ke
yā'nī sharīf log bahakte haiñ aaj bhī
do dil wo sang sang dhaDakte hain aaj bhi
khiDki se chori chori wo takte hain aaj bhi
kahta hai kaun 'ishq ke lahje badal gae
kangan kalaiyon mein khanakte hain aaj bhi
karta hai koi sazishen warna yunhi nahin
aanchal ghaDi mein ek do aTakte hain aaj bhi
itni hai pak 'ishq ki ye dastan suno
aane mein wo qarib jhijakte hain aaj bhi
KHwabon se ab talak teri surat nahin gai
uTh uTh ke raat-bhar ko sisakte hain aaj bhi
nichi nigah uThti hai aate hi 'nur' ke
ya'ni sharif log bahakte hain aaj bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.