do ek sal hi ek se sarahi jati hai
do ek saal hī ik se sarāhī jaatī hai
isī tarah se hamesha tū chāhī jaatī hai
''kareñ na byāh, mileñ sukh, suhā.eñ falsafa ḳhūb''
tire buzurgoñ kī sab kaj-kulāhī jaatī hai
hai tujh meñ mujh se bigāḌ ab ik aur ke aage
tirī sakhī tirī dene gavāhī jaatī hai
birāje ghar meñ mujhe chāhe tujh ko bahkā.e
le terī bahan kī ab sarbarāhī jaatī hai
tazād-e-zāt meñ zil.e alag vachan bekār
lagan to tyaag ke jīvan nibāhī jaatī hai
tire sarīr ko kaise mile suhāg kā sukh
tū apne aap hī din rain byāhī jaatī hai
duā salām chalā maiñ ki mere hone se
tirā vaqār tirī ḳhud-nigāhī jaatī hai
do ek sal hi ek se sarahi jati hai
isi tarah se hamesha tu chahi jati hai
karen na byah, milen sukh, suhaen falsafa KHub
tere buzurgon ki sab kaj-kulahi jati hai
hai tujh mein mujh se bigaD ab ek aur ke aage
teri sakhi teri dene gawahi jati hai
biraje ghar mein mujhe chahe tujh ko bahkae
le teri bahan ki ab sarbarahi jati hai
tazad-e-zat mein zile alag wachan bekar
lagan to tyag ke jiwan nibahi jati hai
tere sarir ko kaise mile suhag ka sukh
tu apne aap hi din rain byahi jati hai
dua salam chala main ki mere hone se
tera waqar teri KHud-nigahi jati hai
- Book : Ban Baas (Pg. 458)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.