do ghaDi baiTh ke ashkon ko bhi bahne na diya
do ghaḌī baiTh ke ashkoñ ko bhī bahne na diyā
dil kī choToñ ne kabhī chain se rahne na diyā
rū-ba-rū un ke zabāñ-bandī kā aalam hī sahī
shauq-e-dīdār ne ik lafz bhī kahne na diyā
har nafas un ke tabassum ne masarrat baḳhshī
sāya-e-ġham se ruḳh-e-zīst ko gahne na diyā
jalte dekhe haiñ makānāt lahū bahte hue
phir bhī hālāt ne kahnā thā jo kahne na diyā
thā azal se hī 'hilāl' un meñ vafā kā ehsās
qurbat-e-ġhair kā sadma kabhī sahne na diyā
do ghaDi baiTh ke ashkon ko bhi bahne na diya
dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diya
ru-ba-ru un ke zaban-bandi ka aalam hi sahi
shauq-e-didar ne ek lafz bhi kahne na diya
har nafas un ke tabassum ne masarrat baKHshi
saya-e-gham se ruKH-e-zist ko gahne na diya
jalte dekhe hain makanat lahu bahte hue
phir bhi haalat ne kahna tha jo kahne na diya
tha azal se hi 'hilal' un mein wafa ka ehsas
qurbat-e-ghair ka sadma kabhi sahne na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.