do-ghaDi qafila-e-dard ko Thahraya hai
do-ghaḌī qāfila-e-dard ko Thahrāyā hai
baat ye hai ki mujhe terā ḳhayāl aayā hai
ik na.e daur kī āvāz samajh kar mujh ko
asr-e-hāzir ne baḌe pyaar se apnāyā hai
kitnī rātoñ ko tire dard kī daulat baḳhshī
kitnī rāhoñ ko tire naam se chamkāyā hai
dil kī galiyoñ se guzarte hue dekhā hai tujhe
yā kisī yaad kī dīvār tale paayā hai
mausam-e-gul bhī jab aayā hai to aate aate
rahguzāroñ se kaḌī dhuup uThā laayā hai
tujh ko pā kar tujhe khone kī tamanna kī hai
haa.e kis moḌ pe hālāt ne pahuñchāyā hai
vaqt bichhḌā hai to paiġhām-e-vafā chhoḌ gayā
chāñd Duubā hai to siine meñ utar aayā hai
jaise uktā ke mah-o-mehr ke hangāmoñ se
aaj phir koī añdheroñ meñ chalā aayā hai
us ne mujh se bhī sivā pyaar kiyā hai mujh se
umr-bhar jis ne mujhe pyaar ko tarsāyā hai
vaqt kī tez-ravī dekh ke yuuñ lagtā hai
jaise maqtal se koī jaan bachā laayā hai
zehn meñ koī darīcha to khulā hai 'jāmī'
dasht-e-hijrāñ meñ koī ḳhvāb to lahrāyā hai
do-ghaDi qafila-e-dard ko Thahraya hai
baat ye hai ki mujhe tera KHayal aaya hai
ek nae daur ki aawaz samajh kar mujh ko
asr-e-hazir ne baDe pyar se apnaya hai
kitni raaton ko tere dard ki daulat baKHshi
kitni rahon ko tere nam se chamkaya hai
dil ki galiyon se guzarte hue dekha hai tujhe
ya kisi yaad ki diwar tale paya hai
mausam-e-gul bhi jab aaya hai to aate aate
rahguzaron se kaDi dhup uTha laya hai
tujh ko pa kar tujhe khone ki tamanna ki hai
hae kis moD pe haalat ne pahunchaya hai
waqt bichhDa hai to paigham-e-wafa chhoD gaya
chand Duba hai to sine mein utar aaya hai
jaise ukta ke mah-o-mehr ke hangamon se
aaj phir koi andheron mein chala aaya hai
us ne mujh se bhi siwa pyar kiya hai mujh se
umr-bhar jis ne mujhe pyar ko tarsaya hai
waqt ki tez-rawi dekh ke yun lagta hai
jaise maqtal se koi jaan bacha laya hai
zehn mein koi daricha to khula hai 'jami'
dasht-e-hijran mein koi KHwab to lahraya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.