do pal jo wo baat kar gai hai
do pal jo vo baat kar ga.ī hai
sadiyoñ kī thakan utar ga.ī hai
zinda kiye jis ne ḳhvāb mere
ḳhvāboñ meñ vo raat mar ga.ī hai
manzar meñ ye vus.ateñ kahāñ thiiñ
merī hī nazar bikhar ga.ī hai
jhoñke kī misāl aa.egā vo
ḳhushbū kī tarah ḳhabar ga.ī hai
lā.egī sameT kar usī ko
ik ḳhālī nigāh ghar ga.ī hai
dil kitnā hasīn hogā us kā
jo mez pe phuul dhar ga.ī hai
sochā thā to zehn kam paḌā thā
dekhā hai to aañkh bhar ga.ī hai
do pal jo wo baat kar gai hai
sadiyon ki thakan utar gai hai
zinda kiye jis ne KHwab mere
KHwabon mein wo raat mar gai hai
manzar mein ye wusaten kahan thin
meri hi nazar bikhar gai hai
jhonke ki misal aaega wo
KHushbu ki tarah KHabar gai hai
laegi sameT kar usi ko
ek KHali nigah ghar gai hai
dil kitna hasin hoga us ka
jo mez pe phul dhar gai hai
socha tha to zehn kam paDa tha
dekha hai to aankh bhar gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.