do roz mein shabab ka aalam guzar gaya
do roz meñ shabāb kā aalam guzar gayā
gulshan meñ ek phuul khilā aur bikhar gayā
uḌne lagī hai rāh-e-tamannā meñ dhuul sī
ye kis ke saath mausam-e-armāñ guzar gayā
dil meñ kisī bhī vahm-o-gumāñ kā guzar nahīñ
muñh phernā kisī kā baḌā kaam kar gayā
ab chāhtā huuñ lazzat-e-dard-e-firāq-e-yār
dil to har ek aish-e-zamāna se bhar gayā
bīmār-e-ġham ne toḌ diyā dam ḳhushī ke saath
un kā ḳhayāl maut bhī āsān kar gayā
'nāshād' aa gayā dil-e-betāb ko qarār
ik āshnā bhī merī vafā se mukar gayā
do roz mein shabab ka aalam guzar gaya
gulshan mein ek phul khila aur bikhar gaya
uDne lagi hai rah-e-tamanna mein dhul si
ye kis ke sath mausam-e-arman guzar gaya
dil mein kisi bhi wahm-o-guman ka guzar nahin
munh pherna kisi ka baDa kaam kar gaya
ab chahta hun lazzat-e-dard-e-firaq-e-yar
dil to har ek aish-e-zamana se bhar gaya
bimar-e-gham ne toD diya dam KHushi ke sath
un ka KHayal maut bhi aasan kar gaya
'nashad' aa gaya dil-e-betab ko qarar
ek aashna bhi meri wafa se mukar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.