dohraate hue ashk mere bahne lage the
dohraate hue ashk mere bahne lage the
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
dohrāte hue ashk mire bahne lage the
vo qisse jo ma.asūm charāġhoñ ne kahe the
muddat se merī aañkh ke dar chiir rahā hai
vo ḳhvāb jo ujlat meñ nahīñ dekh sake the
ham log havālātī nahīñ qaidī-e-dil the
so qaid ke aalam meñ tujhe soch rahe the
maiñ kahtā rahā raushnī-parvar haiñ bachā lo
jab log charāġhoñ ke gale kaaT rahe the
ye kyā ki palaT kar koī vāpas nahīñ aaya
duniyā tirī jānib to ka.ī log ga.e the
pūchhā na kisī shaḳhs ne bhī haal hamārā
nuqsān faqīroñ kā sabhī bhuul ga.e the
jab log vahāñ raqs ke māhaul meñ gum the
ham donoñ bichhaḌne kā sabab DhūñD rahe the
kal raat ajab tarz kī vahshat kā samāñ thā
tanhā.ī meñ darvāzoñ ke dar khol diye the
karnā thā mujhe paar kisī aañkh kā sāhil
aur zād-e-safar meñ bhī faqat kachche ghaḌe the
dohraate hue ashk mere bahne lage the
wo qisse jo masum charaghon ne kahe the
muddat se meri aankh ke dar chir raha hai
wo KHwab jo ujlat mein nahin dekh sake the
hum log hawalati nahin qaidi-e-dil the
so qaid ke aalam mein tujhe soch rahe the
main kahta raha raushni-parwar hain bacha lo
jab log charaghon ke gale kaT rahe the
ye kya ki palaT kar koi wapas nahin aaya
duniya teri jaanib to kai log gae the
puchha na kisi shaKHs ne bhi haal hamara
nuqsan faqiron ka sabhi bhul gae the
jab log wahan raqs ke mahaul mein gum the
hum donon bichhaDne ka sabab DhunD rahe the
kal raat ajab tarz ki wahshat ka saman tha
tanhai mein darwazon ke dar khol diye the
karna tha mujhe par kisi aankh ka sahil
aur zad-e-safar mein bhi faqat kachche ghaDe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.