Doli arman kahaar hai shadi
Dolī armāñ kahār hai shādī
chaar din kī bahār hai shādī
'umr-bhar hañs ke chalnā hai jis par
tez ḳhanjar kī dhaar hai shādī
haar kar ḳhud ko jītnā hai tumheñ
dil kā hī kārobār hai shādī
'ishq meñ jo fanā hue jiite
āshiqoñ kī to haar hai shādī
daav sīdhā paḌā jo baazī meñ
phir to fasl-e-bahār hai shādī
le maza lutf jitnā jī chāhe
hotī kab bār-bār hai shādī
ek hī lafz meñ batā.ūñ to
phir to bas e'tibār hai shādī
Doli arman kahaar hai shadi
chaar din ki bahaar hai shadi
'umr-bhar hans ke chalna hai jis par
tez KHanjar ki dhaar hai shadi
haar kar KHud ko jitna hai tumhein
dil ka hi karobar hai shadi
'ishq mein jo fana hue jite
aashiqon ki to haar hai shadi
daw sidha paDa jo bazi mein
phir to fasl-e-bahaar hai shadi
le maza lutf jitna ji chahe
hoti kab bar-bar hai shadi
ek hi lafz mein bataun to
phir to bas e'tibar hai shadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.