donon aalam se nirali ishq ki sarkar hai
donoñ aalam se nirālī ishq kī sarkār hai
hosh se jo be-ḳhabar hai vo yahāñ hoshiyār hai
ro rahe haiñ ḳhuun ke aañsū mire zaḳhm-e-jigar
dil mire pahlū meñ hai yā dīda-e-ḳhūñ-bār hai
aa gayā ahd-e-ḳhizāñ ruḳhsat huī fasl-e-bahār
shāḳh-e-gul par nauhagar phir andalīb-e-zār hai
aañkh milnā thā ki ruḳhsat ho ga.e sabr-o-qarār
kyā ise dīdār kahte haiñ yahī dīdār hai
hijr kī rāteñ mirī ho jaa.eñ ghaḌiyāñ vasl kī
ye tumheñ āsān hai mere liye dushvār hai
allah allah mo.ajiza hai kyā sharāb-e-husn kā
jo tirī mahfil meñ hai vo be-piye sarshār hai
kyoñ na ai 'fāzil' karūñ maiñ phir parastish husn kī
dekhtā huuñ zarra zarra ālam-e-anvār hai
donon aalam se nirali ishq ki sarkar hai
hosh se jo be-KHabar hai wo yahan hoshiyar hai
ro rahe hain KHun ke aansu mere zaKHm-e-jigar
dil mere pahlu mein hai ya dida-e-KHun-bar hai
aa gaya ahd-e-KHizan ruKHsat hui fasl-e-bahaar
shaKH-e-gul par nauhagar phir andalib-e-zar hai
aankh milna tha ki ruKHsat ho gae sabr-o-qarar
kya ise didar kahte hain yahi didar hai
hijr ki raaten meri ho jaen ghaDiyan wasl ki
ye tumhein aasan hai mere liye dushwar hai
allah allah moajiza hai kya sharab-e-husn ka
jo teri mahfil mein hai wo be-piye sarshaar hai
kyon na ai 'fazil' karun main phir parastish husn ki
dekhta hun zarra zarra aalam-e-anwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.