donon jahan mein mujhko jhukaya nahin gaya
donoñ jahāñ meñ mujh ko jhukāyā nahīñ gayā
sar se mire buzurgoñ kā saaya nahīñ gayā
siine meñ mere kaisī tajallī ye dafn hai
jo aag se bhī mujh ko jalāyā nahīñ gayā
dekhā jo maiñ ne sach ko ziyāda qarīb se
phir chehra us kā mujh se banāyā nahīñ gayā
hairat meñ paḌ ga.ī hai ye bīnā.ī dekh kar
manzar jo is jahāñ ko dikhāyā nahīñ gayā
mere ḳhilāf jaao to pahle ye sochnā
bin paanī machhliyoñ ko jilāyā nahīñ gayā
ye dushmanī to yaar kisī kaam kī nahīñ
ik yaar tak Thikāne lagāyā nahīñ gayā
ḳhūn-e-husain aaj bhī hai merī aañkh meñ
ḳhūn-e-husain mujh se bhulāyā nahīñ gayā
duniyā se khelnā to bas ik shauq hai mirā
is shauq meñ kisī ko harāyā nahīñ gayā
hairān huuñ maiñ yaar ki vo sab ke saath hai
jis se kisī kā saath nibhāyā nahīñ gayā
tum to batā rahe the hameñ apne man kī baat
ham se to apnā haal batāyā nahīñ gayā
maiñ bevafā nahīñ huuñ magar thoḌā saḳht huuñ
lekin tirī samajh meñ jo aayā nahīñ gayā
ham hijratoñ ke maare hue ḳhush-nasīb log
ham se koī bhī rishta nibhāyā nahīñ gayā
parvardigār tū ne ye kaise banā diyā
paanī meñ ham se rasta banāyā nahīñ gayā
kyā maut kī bisāt hai jo sāmnā kare
'mas'ūd' ko kisī se hilāyā nahīñ gayā
donon jahan mein mujh ko jhukaya nahin gaya
sar se mere buzurgon ka saya nahin gaya
sine mein mere kaisi tajalli ye dafn hai
jo aag se bhi mujh ko jalaya nahin gaya
dekha jo main ne sach ko ziyaada qarib se
phir chehra us ka mujh se banaya nahin gaya
hairat mein paD gai hai ye binai dekh kar
manzar jo is jahan ko dikhaya nahin gaya
mere KHilaf jao to pahle ye sochna
bin pani machhliyon ko jilaya nahin gaya
ye dushmani to yar kisi kaam ki nahin
ek yar tak Thikane lagaya nahin gaya
KHun-e-husain aaj bhi hai meri aankh mein
KHun-e-husain mujh se bhulaya nahin gaya
duniya se khelna to bas ek shauq hai mera
is shauq mein kisi ko haraya nahin gaya
hairan hun main yar ki wo sab ke sath hai
jis se kisi ka sath nibhaya nahin gaya
tum to bata rahe the hamein apne man ki baat
hum se to apna haal bataya nahin gaya
main bewafa nahin hun magar thoDa saKHt hun
lekin teri samajh mein jo aaya nahin gaya
hum hijraton ke mare hue KHush-nasib log
hum se koi bhi rishta nibhaya nahin gaya
parwardigar tu ne ye kaise bana diya
pani mein hum se rasta banaya nahin gaya
kya maut ki bisat hai jo samna kare
'mas'ud' ko kisi se hilaya nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.