donon ka la-shuur hai itna mila hua
donoñ kā lā-shu.ūr hai itnā milā huā
us ne jo pī sharāb to mujh ko nasha huā
kis kī hai dhuul mere tasavvuf ke paañv meñ
kyā hai ye ḳhānqāh ke dar par paḌā huā
paidā kiyā dobāra mujhe us ke jism ne
maiñ jo barā-e-vasl gayā thā marā huā
duniyā kī har namāz kā mujh ko milā savāb
masjid kā andarūn hai mujh par khulā huā
ye bhī mire charāġh-e-ḳhamoshī kā faiz hai
chāroñ taraf hai shor havā kā machā huā
us ne paḌhī namāz to maiñ ne sharāb pī
donoñ ko lutf ye hai barābar nasha huā
dekhā nahīñ kabhī na mulāqāt hī huī
'ehsās'-jī kā naam hai lekin sunā huā
donon ka la-shuur hai itna mila hua
us ne jo pi sharab to mujh ko nasha hua
kis ki hai dhul mere tasawwuf ke panw mein
kya hai ye KHanqah ke dar par paDa hua
paida kiya dobara mujhe us ke jism ne
main jo bara-e-wasl gaya tha mara hua
duniya ki har namaz ka mujh ko mila sawab
masjid ka andarun hai mujh par khula hua
ye bhi mere charagh-e-KHamoshi ka faiz hai
chaaron taraf hai shor hawa ka macha hua
us ne paDhi namaz to main ne sharab pi
donon ko lutf ye hai barabar nasha hua
dekha nahin kabhi na mulaqat hi hui
'ehsas'-ji ka nam hai lekin suna hua
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 23)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.