donon mein thi hawas ki mohabbat to thi nahin
donoñ meñ thī havas ki mohabbat to thī nahīñ
ya.anī vafā kī un ko zarūrat to thī nahīñ
achchhā to chāhtī thiiñ zamāne se tum mujhe
lab par kabhī tumhāre shikāyat to thī nahīñ
haañ le ga.ī vo tum ko pareshānī kyoñ bhalā
dil merā thā kisī kī amānat to thī nahīñ
sīkhā hai aap hī se ki muñh-toḌ do javāb
ghar meñ hamāre aisī rivāyat to thī nahīñ
yūñhī vo khelte the khilaunā thā un kā bas
ya.anī ki un ko merī zarūrat to thī nahīñ
tum ho jahāñ pe us ke bhī laa.eq ho tum kaho
ya.anī tumhārī apnī vo mehnat to thī nahīñ
majrūh thā maiñ apnoñ kī bātoñ se ab bhī huuñ
hañstā huuñ ab bhī rone kī aadat to thī nahīñ
ham hī rahe sharīf hidāyat kī raah par
un logoñ meñ zarā sī sharāfat to thī nahīñ
vo varzishoñ ke shauq meñ sajde kiyā kiye
dil meñ ḳhudā kā ḳhauf ibādat to thī nahīñ
ab kyoñ karo kisī se muravvat jahān meñ
logoñ ko bhī tumhāre muravvat to thī nahīñ
bas naam ye baḌe the adab kī bisāt par
apne kiye pe un ko nadāmat to thī nahīñ
sach bolne kī ḳhū mujhe virse meñ hai milī
merī kisī se koī adāvat to thī nahīñ
hañs kar ke jī rahe the balāoñ ke daur meñ
'irshād' apne qalb ko rāhat to thī nahīñ
donon mein thi hawas ki mohabbat to thi nahin
yani wafa ki un ko zarurat to thi nahin
achchha to chahti thin zamane se tum mujhe
lab par kabhi tumhaare shikayat to thi nahin
han le gai wo tum ko pareshani kyon bhala
dil mera tha kisi ki amanat to thi nahin
sikha hai aap hi se ki munh-toD do jawab
ghar mein hamare aisi riwayat to thi nahin
yunhi wo khelte the khilauna tha un ka bas
yani ki un ko meri zarurat to thi nahin
tum ho jahan pe us ke bhi laeq ho tum kaho
yani tumhaari apni wo mehnat to thi nahin
majruh tha main apnon ki baaton se ab bhi hun
hansta hun ab bhi rone ki aadat to thi nahin
hum hi rahe sharif hidayat ki rah par
un logon mein zara si sharafat to thi nahin
wo warzishon ke shauq mein sajde kiya kiye
dil mein KHuda ka KHauf ibaadat to thi nahin
ab kyon karo kisi se murawwat jahan mein
logon ko bhi tumhaare murawwat to thi nahin
bas nam ye baDe the adab ki bisat par
apne kiye pe un ko nadamat to thi nahin
sach bolne ki KHu mujhe wirse mein hai mili
meri kisi se koi adawat to thi nahin
hans kar ke ji rahe the balaon ke daur mein
'irshad' apne qalb ko rahat to thi nahin
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 180)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.