donon ne apne hath ka likkha hua miTa diya
donoñ ne apne haath kā likkhā huā miTā diyā
tum ne mujhe bhulā diyā maiñ ne tumheñ bhulā diyā
hijr ke daaġh ke sivā bujhte charāġh ke sivā
maiñ ne kisī ko kyā diyā mujh ko kisī ne kyā diyā
dard ke fāsle meñ thā vo abhī rāste meñ thā
raat abhī safar meñ thī kis ne diyā bujhā diyā
vo tirī gard-e-pā na thā aur jilā-vatan huā
tū ne kahāñ kī ḳhaak ko lā ke kahāñ uḌā diyā
donon ne apne hath ka likkha hua miTa diya
tum ne mujhe bhula diya main ne tumhein bhula diya
hijr ke dagh ke siwa bujhte charagh ke siwa
main ne kisi ko kya diya mujh ko kisi ne kya diya
dard ke fasle mein tha wo abhi raste mein tha
raat abhi safar mein thi kis ne diya bujha diya
wo teri gard-e-pa na tha aur jila-watan hua
tu ne kahan ki KHak ko la ke kahan uDa diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.