donon taraf hi barson ye silsile rahe the
donoñ taraf hī barsoñ ye silsile rahe the
kuchh vo the bad-gumāñ se kuchh ham khiñche rahe the
jin ko mire junūñ se kuchh vāsta nahīñ thā
muḌ muḌ ke merī jānib kyuuñ dekhte rahe the
tujh par ḳhudā kī rahmat ai dil hai ye haqīqat
jab tak na thā tirā ġham ham chain se rahe the
vo gulshan-e-mohabbat tārāj ho gayā kyā
kal tak jo ḳhūn-e-dil se ham sīñchte rahe the
ham ko tabāh kar ke kitne sukūn se haiñ
ham muztarib hamesha jin ke liye rahe the
dekhā jo aaj un ko hairān rah ga.e sab
kyā kyā na log ham ko ilzām de rahe the
aao ki ittifāqan tum bhī ho aaj tanhā
ham bhī hujūm-e-ġham meñ aksar ghire rahe the
kyā kyā ḳhayāl aa.e firdaus-e-hosh ban kar
kitne hasīñ azā.em dil meñ chhupe rahe the
vo din bhī yaad haiñ jab ye haal thā ki ham par
hañstī rahī thī duniyā ham dekhte rahe the
itnā to yaad hai jab vo ho rahe the ruḳhsat
tā-der dil hī dil meñ kuchh sochte rahe the
hairān huuñ ki un ko kyā ho gayā hai jaane
sāhil se jo musalsal āvāz de rahe the
ik inqalāb āḳhir aa hī gayā jahāñ meñ
sotī rahī thī duniyā ham jāgte rahe the
lo dekh lo haiñ mere qadmoñ meñ sar-ba-sajda
ye but ki jin ko kal tak sab pūjte rahe the
guzre the ham bhī 'rāhī' ik maqtal-e-vafā se
kuchh log chal base the kuchh saañs le rahe the
donon taraf hi barson ye silsile rahe the
kuchh wo the bad-guman se kuchh hum khinche rahe the
jin ko mere junun se kuchh wasta nahin tha
muD muD ke meri jaanib kyun dekhte rahe the
tujh par KHuda ki rahmat ai dil hai ye haqiqat
jab tak na tha tera gham hum chain se rahe the
wo gulshan-e-mohabbat taraj ho gaya kya
kal tak jo KHun-e-dil se hum sinchte rahe the
hum ko tabah kar ke kitne sukun se hain
hum muztarib hamesha jin ke liye rahe the
dekha jo aaj un ko hairan rah gae sab
kya kya na log hum ko ilzam de rahe the
aao ki ittifaqan tum bhi ho aaj tanha
hum bhi hujum-e-gham mein aksar ghire rahe the
kya kya KHayal aae firdaus-e-hosh ban kar
kitne hasin azaem dil mein chhupe rahe the
wo din bhi yaad hain jab ye haal tha ki hum par
hansti rahi thi duniya hum dekhte rahe the
itna to yaad hai jab wo ho rahe the ruKHsat
ta-der dil hi dil mein kuchh sochte rahe the
hairan hun ki un ko kya ho gaya hai jaane
sahil se jo musalsal aawaz de rahe the
ek inqalab aaKHir aa hi gaya jahan mein
soti rahi thi duniya hum jagte rahe the
lo dekh lo hain mere qadmon mein sar-ba-sajda
ye but ki jin ko kal tak sab pujte rahe the
guzre the hum bhi 'rahi' ek maqtal-e-wafa se
kuchh log chal base the kuchh sans le rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.