donon taraf se rabt ke pahlu nikal kar
donoñ taraf se rabt ke pahlū nikāl kar
vo le gayā hai aañkh se aañsū nikāl kar
in ke sahāre kuchh na.ī sī dhun banā.ūñgā
laayā huuñ us ke paañv se ghuñghrū nikāl kar
vo husn bhī lage hai mujhe tab se 'aam sā
jab se gayā vo 'ishq kā jaadū nikāl kar
jhapkī thī maiñ ne aañkh bhī jis ke yaqīn par
vo jā chukā hai niiñd meñ baazū nikāl kar
mujh ko badan nasīb thā par ruuh ke baġhair
us ne diyā bhī phuul to ḳhushbū nikāl kar
donon taraf se rabt ke pahlu nikal kar
wo le gaya hai aankh se aansu nikal kar
in ke sahaare kuchh nai si dhun banaunga
laya hun us ke panw se ghunghru nikal kar
wo husn bhi lage hai mujhe tab se 'am sa
jab se gaya wo 'ishq ka jadu nikal kar
jhapki thi main ne aankh bhi jis ke yaqin par
wo ja chuka hai nind mein bazu nikal kar
mujh ko badan nasib tha par ruh ke baghair
us ne diya bhi phul to KHushbu nikal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.