Dore Dale lal pari hai aankhon mein
Dore Daale laal parī hai āñkhoñ meñ
so bhī jaao niiñd bharī hai āñkhoñ meñ
phir mayyat ke baar se palkeñ bojhal haiñ
phir koī ummīd mirī hai āñkhoñ meñ
dīda-varī ke sab qisse un se mansūb
apnī sarvat-e-kam-nazarī hai āñkhoñ meñ
āñkhoñ meñ kaTtī hai shab vo kyā jāneñ
be-ḳhabarī sī be-ḳhabarī hai āñkhoñ meñ
ek nazar meñ dil kā sab āzār gayā
yaar ġhazab kī chāragarī hai āñkhoñ meñ
dil kā taa.ir ab bhī naġhme gaatā hai
shāyad koī shāḳh harī hai āñkhoñ meñ
chaar huiiñ to raste kī dīvār huiiñ
kyā nazroñ kī rāhbarī hai āñkhoñ meñ
niiñd meñ bhī un kī palkeñ vā rahtī haiñ
jaane kis kī muntazarī hai āñkhoñ meñ
merī rāhat merā haz merā ārām
saarī daulat tū ne dharī hai āñkhoñ meñ
Dore Dale lal pari hai aankhon mein
so bhi jao nind bhari hai aankhon mein
phir mayyat ke bar se palken bojhal hain
phir koi ummid meri hai aankhon mein
dida-wari ke sab qisse un se mansub
apni sarwat-e-kam-nazari hai aankhon mein
aankhon mein kaTti hai shab wo kya jaanen
be-KHabari si be-KHabari hai aankhon mein
ek nazar mein dil ka sab aazar gaya
yar ghazab ki chaaragari hai aankhon mein
dil ka tair ab bhi naghme gata hai
shayad koi shaKH hari hai aankhon mein
chaar huin to raste ki diwar huin
kya nazron ki rahbari hai aankhon mein
nind mein bhi un ki palken wa rahti hain
jaane kis ki muntazari hai aankhon mein
meri rahat mera haz mera aaram
sari daulat tu ne dhari hai aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.