dost ban kar doston ki bewafai dekhiye
dost ban kar dostoñ kī bevafā.ī dekhiye
kaj-adā.ī dekhiye be-e'tinā.ī dekhiye
rahguzār-e-shauq meñ ham rakh to baiThe haiñ qadam
jaane kab manzil pe ho apnī rasā.ī dekhiye
kis balā kā sehr thā un kī nigāh-e-nāz meñ
dil ne ḳhud baḌh kar nazar kī choT khaa.ī dekhiye
mere sajdoñ ke muqaddar meñ vo sañg-e-dar na thā
merī peshānī pe dāġh-e-nā-rasā.ī dekhiye
ishq meñ nām-o-nasab kā kis ko rahtā hai ḳhayāl
hai nasīb-e-ishq meñ to jag-hañsā.ī dekhiye
zindagī meñ ham ne dekhīñ uljhaneñ hī uljhaneñ
uljhanoñ se kis tarah hogī rihā.ī dekhiye
zindagī kā ek pal bhī chain se guzrā nahīñ
jab se kī taslīm dil kī rahnumā.ī dekhiye
aap ne nārāz ho kar jab se āñkheñ pher liiñ
merī dushman ban ga.ī saarī ḳhudā.ī dekhiye
jal rahī huuñ kab se ai shahnāz apnī aag meñ
ab sarīr-e-ḳhāma kī sho.ala-navā.ī dekhiye
dost ban kar doston ki bewafai dekhiye
kaj-adai dekhiye be-e'tinai dekhiye
rahguzar-e-shauq mein hum rakh to baiThe hain qadam
jaane kab manzil pe ho apni rasai dekhiye
kis bala ka sehr tha un ki nigah-e-naz mein
dil ne KHud baDh kar nazar ki choT khai dekhiye
mere sajdon ke muqaddar mein wo sang-e-dar na tha
meri peshani pe dagh-e-na-rasai dekhiye
ishq mein nam-o-nasab ka kis ko rahta hai KHayal
hai nasib-e-ishq mein to jag-hansai dekhiye
zindagi mein hum ne dekhin uljhanen hi uljhanen
uljhanon se kis tarah hogi rihai dekhiye
zindagi ka ek pal bhi chain se guzra nahin
jab se ki taslim dil ki rahnumai dekhiye
aap ne naraaz ho kar jab se aankhen pher lin
meri dushman ban gai sari KHudai dekhiye
jal rahi hun kab se ai shahnaz apni aag mein
ab sarir-e-KHama ki shoala-nawai dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.