dost be-ab zaminon mein shajar hote nahin
dost be-āb zamīnoñ meñ shajar hote nahīñ
sūkhe dariyā ke kināroñ pe nagar hote nahīñ
kaise niklūñgā maiñ in habs-bharī galiyoñ se
shahr-e-hijrāñ kī fasīloñ meñ to dar hote nahīñ
tere jaane pe haqīqat ye khulī hai mujh par
apne dikhte haiñ yahāñ log magar hote nahīñ
ye nahīñ hai ki akelā hī nikal jaatā huuñ
shaam ke vaqt mire dost bhī ghar hote nahīñ
zindagī ko jo sahāroñ ke binā jiite haiñ
un kī āñkhoñ meñ kabhī maut ke Dar hote nahīñ
apnī dastār girā kar jo bachā lete haiñ jaan
un ke kāñdhoñ pe kabhī dekhnā sar hote nahīñ
dost be-ab zaminon mein shajar hote nahin
sukhe dariya ke kinaron pe nagar hote nahin
kaise niklunga main in habs-bhari galiyon se
shahr-e-hijran ki fasilon mein to dar hote nahin
tere jaane pe haqiqat ye khuli hai mujh par
apne dikhte hain yahan log magar hote nahin
ye nahin hai ki akela hi nikal jata hun
sham ke waqt mere dost bhi ghar hote nahin
zindagi ko jo sahaaron ke bina jite hain
un ki aankhon mein kabhi maut ke Dar hote nahin
apni dastar gira kar jo bacha lete hain jaan
un ke kandhon pe kabhi dekhna sar hote nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.