dost bhi the us gali mein dushmanon ke sath-sath
dost bhī the us galī meñ dushmanoñ ke sāth-sāth
phuul bhī barse the mujh par pattharoñ ke sāth-sāth
ab kahāñ ḳhvāb-o-ḳhayāl o ḳhāl-o-ḳhad pahle se haiñ
kis qadar badlā huuñ maiñ calendaroñ ke sāth-sāth
ab na-jāne mujh ko le jaa.eñ kahāñ aañsū mire
ab to ik lambā safar hai pāniyoñ ke sāth-sāth
shauq-e-bām-o-dar meñ kuchh buniyād kā sochā nahīñ
ghar banātā jā rahā huuñ sāhiloñ ke sāth-sāth
us kī ik tasvīr se thā rashk-e-jannat ghar mirā
ghar meñ ab kaise rahūñ vīrāniyoñ ke sāth-sāth
chupke-chupke jaane kyā likhtā rahā huuñ rāt-bhar
baḳht bhī kaalā kiyā hai kāġhazoñ ke sāth-sāth
dūriyāñ majbūriyāñ tanhā.iyāñ be-tābiyāñ
mustaqil rahtīñ haiñ ham pardesiyoñ ke sāth-sāth
aaj is andāz se gulshan meñ lahrā.ī sabā
phuul bhī uḌne lage kuchh titliyoñ ke sāth-sāth
choT khā baiThā koī yā dil lagā baiThā kahīñ
āj-kal hotā hai 'sāgar' shā'iroñ ke sāth-sāth
dost bhi the us gali mein dushmanon ke sath-sath
phul bhi barse the mujh par pattharon ke sath-sath
ab kahan KHwab-o-KHayal o KHal-o-KHad pahle se hain
kis qadar badla hun main calendaron ke sath-sath
ab na-jaane mujh ko le jaen kahan aansu mere
ab to ek lamba safar hai paniyon ke sath-sath
shauq-e-baam-o-dar mein kuchh buniyaad ka socha nahin
ghar banata ja raha hun sahilon ke sath-sath
us ki ek taswir se tha rashk-e-jannat ghar mera
ghar mein ab kaise rahun viraniyon ke sath-sath
chupke-chupke jaane kya likhta raha hun raat-bhar
baKHt bhi kala kiya hai kaghazon ke sath-sath
duriyan majburiyan tanhaiyan be-tabiyan
mustaqil rahtin hain hum pardesiyon ke sath-sath
aaj is andaz se gulshan mein lahrai saba
phul bhi uDne lage kuchh titliyon ke sath-sath
choT kha baiTha koi ya dil laga baiTha kahin
aaj-kal hota hai 'sagar' sha'iron ke sath-sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.