dost galiyan shahr ghar sare purane ho gae
dost galiyāñ shahr ghar saare purāne ho ga.e
us ta'alluq aur mohabbat ko zamāne ho ga.e
ab kahāñ vo chāhateñ vo mahfileñ vo raunaqeñ
har kisī ke apne apne āshiyāne ho ga.e
ab nasīhat bojh lagtī hai buzurgoñ kī inheñ
shahr meñ paḌh likh ke bachche sab siyāne ho ga.e
is meñ saare rang haiñ shoḳhī adā aur sādgī
muft meñ thoḌī na sab us ke divāne ho ga.e
is qadar phailī taraqqī kī vabā is daur meñ
khetiyāñ kal tak jahāñ thiiñ kār-ḳhāne ho ga.e
dost galiyan shahr ghar sare purane ho gae
us ta'alluq aur mohabbat ko zamane ho gae
ab kahan wo chahaten wo mahfilen wo raunaqen
har kisi ke apne apne aashiyane ho gae
ab nasihat bojh lagti hai buzurgon ki inhen
shahr mein paDh likh ke bachche sab siyane ho gae
is mein sare rang hain shoKHi ada aur sadgi
muft mein thoDi na sab us ke diwane ho gae
is qadar phaili taraqqi ki waba is daur mein
khetiyan kal tak jahan thin kar-KHane ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.