dost hai wo piTh par aaega neza tan kar
dost hai vo piiTh par aa.egā neza taan kar
bhaa.ī hai to jā mirī rusvā.ī kā sāmān kar
varna sīdhe se adā kar de sharāfat kā ḳhirāj
aur āzādī kī ḳhvāhish hai to baḌh elaan kar
tujh ko haq-talfī kā ye ehsās kyoñ hone lagā
saare andhe bāñTte haiñ revḌī pahchān kar
aa gale mil dard kā rishta hai apne darmiyāñ
itne zoroñ se na hindostān pākistān kar
mere ġham-ḳhāne ko jaise tū ne jal-thal kar diyā
mehrbāñ bādal kisī sahrā ko naḳhlistān kar
raushnī rahtī hai terī shīsh-mahloñ meñ sadā
chāñd pyāre merī kuTiyā par kabhī ehsān kar
us ne pūchhā tak nahīñ 'parvez' ho kis haal meñ
maiñ to us ke paas aa baiThā thā apnā jaan kar
dost hai wo piTh par aaega neza tan kar
bhai hai to ja meri ruswai ka saman kar
warna sidhe se ada kar de sharafat ka KHiraj
aur aazadi ki KHwahish hai to baDh elan kar
tujh ko haq-talfi ka ye ehsas kyon hone laga
sare andhe banTte hain rewDi pahchan kar
aa gale mil dard ka rishta hai apne darmiyan
itne zoron se na hindostan pakistan kar
mere gham-KHane ko jaise tu ne jal-thal kar diya
mehrban baadal kisi sahra ko naKHlistan kar
raushni rahti hai teri shish-mahlon mein sada
chand pyare meri kuTiya par kabhi ehsan kar
us ne puchha tak nahin 'parwez' ho kis haal mein
main to us ke pas aa baiTha tha apna jaan kar
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 269)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.