dost koi jo moatabar na raha
dost koī jo mo'atabar na rahā
e.atibār apne aap par na rahā
rāhbar se jo be-ḳhabar na rahā
rāhzan kā usī ko Dar na rahā
fasl aa.ī hai jab se patjhaḌ kī
saaya vaalā koī shajar na rahā
ḳhāksārī meñ ho gayā mash.hūr
kaj-kulāhī liye jo sar na rahā
aan rakh kar vo jaan se khelā
maat khāne kā jis ko Dar na rahā
jis meñ sadiyāñ samā ga.iiñ vo suḳhan
muḳhtasar ho ke muḳhtasar na rahā
aadmī kī kamī nahīñ 'nādim'
ādamiyyat liye bashar na rahā
dost koi jo mo'atabar na raha
eatibar apne aap par na raha
rahbar se jo be-KHabar na raha
rahzan ka usi ko Dar na raha
fasl aai hai jab se patjhaD ki
saya wala koi shajar na raha
KHaksari mein ho gaya mashhur
kaj-kulahi liye jo sar na raha
aan rakh kar wo jaan se khela
mat khane ka jis ko Dar na raha
jis mein sadiyan sama gain wo suKHan
muKHtasar ho ke muKHtasar na raha
aadmi ki kami nahin 'nadim'
aadamiyyat liye bashar na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.